Monday, July 18, 2011

Silence of the Stones [Hindi]

Ekdin paharon mein gayee thi achanak
Ek lambi sadak par chalte chalte
Ruk kar, do pal gawai thi achanak
Kahaniyan to kayin likhi gayi hai  In paharon ke , in vaadiyon ke
Par unki khamosh shayari ko dekh kar
Usdin,
Bezuban ho gayi thi achanak. 
Peele pattharon ke qile ke peechhe
Dubte suraj ke angaar dikhe the
Hare paharon ke mahalon ke beech mein
Nili nadi ke dhaar dikhe the
Aasmaan ke taraf mur gaya tha rasta
Jaane kahan le gaya tha rasta
Paharon ke ek choti ko chhukar
Vaadiyon mein kho gaya tha rasta
Kuch deewane se dost bhi to the
Deeewana sa ek yaar bhi tha
Dher sari hansi mazaak thi
Dher saara ehsaas bhi tha

Par paharon ne rok li humko
Bhula diya manzil ki khoj
Dhoondhla hota gaya waqt tab
Dhoondhli hoti gayi hosh
Tab kahani sunayi di thi ek aur
Lal pattharon mein goonjta hua
Dhun sunayi di thi ek aur
Hazaron saal purane un khandaron mein
Ghoomta hua waqt ki rooh dikhai di thi ek aur
Na jaane use kaun sadi se
Ek zubaan ki talaash thi
Pattharon ke in zanjeeron se
Azaadi ki talaash thi
Adhi kahani sunaidi thi mujhko
Adhi kahin to kho gayi
Dhun jo kanon tak na pahunchi
Dil mein kahin to reh gayi …

Jab dhundh hati aur raat chari
Hum who tila chhor kar aye the
Us pal ke us ehsaas ko
Usi ret par chhod kar aye the
Par abh  jab din dhalne par
Raat ki chand nikalti hai
Kabhi kabhi un paharon ki
Yaad achanak lati hai
Kahaniyan to bohot sune hai
Un patthar aur un vaadiyon ke
Par unki khamosh shayari dekh kar
Jab hum khamosh ho gaye the.



2 comments:

  1. Kya kahein aapki nagmo ka,
    Aapki bhavnaon ki gehraiyon ka,
    Par in khamoshi ko jo apne suna,
    Apne muhayoro me buna, unka kya kehna..

    ReplyDelete